jo gaya yahan se isi makan mein aaega
jo gayā yahāñ se isī makān meñ aa.egā
thā sitāra TuuT ke āsamān meñ aa.egā
kabhī ḳhvāb sā kabhī ḳhushbuoñ kā hijāb sā
baḌī mushkiloñ se vo mere dhyān meñ aa.egā
use sochnā na samundaroñ ke dimāġh se
vo guhar sadaf ke faqat gumān meñ aa.egā
nahīñ aa sakā jo maiñ gul-zamīnoñ ke jashn tak
tū ġhubār sā kisī sabz lawn meñ aa.egā
abhī tar haiñ lab tirī guftugū kī miThās se
tirā zā.iqa bhī mirī zabān meñ aa.egā
abhī peḌ ko kisī saḳht rut kā hai sāmnā
agar uTh sakā to baḌī uThān meñ aa.egā
jo gaya yahan se isi makan mein aaega
tha sitara TuT ke aasaman mein aaega
kabhi KHwab sa kabhi KHushbuon ka hijab sa
baDi mushkilon se wo mere dhyan mein aaega
use sochna na samundaron ke dimagh se
wo guhar sadaf ke faqat guman mein aaega
nahin aa saka jo main gul-zaminon ke jashn tak
tu ghubar sa kisi sabz lawn mein aaega
abhi tar hain lab teri guftugu ki miThas se
tera zaiqa bhi meri zaban mein aaega
abhi peD ko kisi saKHt rut ka hai samna
agar uTh saka to baDi uThan mein aaega
- Book : dahliiz per utartii shaam (Pg. 44)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.