jo ghaw tumne diya tha wo ghaw zinda hai
jo ghaav tum ne diyā thā vo ghaav zinda hai
abhī hañso na mirī jaan 'rāv' zinda hai
tumhārī dil se vahī khelne kī aadat hai
hamārā apnā vahī rakh-rakhāo zinda hai
abhī na soch mirī haar terī jiit huī
abhī to khel meñ antim paḌāv zinda hai
Dare Dare hue sahme hue añdhere haiñ
charāġh bujh to rahā hai dabāv zinda hai
hameñ yaqīn hai 'nāsir' nahīñ bhaTak sakte
abhī ġhazal se hamārā lagāv zinda hai
jo ghaw tum ne diya tha wo ghaw zinda hai
abhi hanso na meri jaan 'raw' zinda hai
tumhaari dil se wahi khelne ki aadat hai
hamara apna wahi rakh-rakhao zinda hai
abhi na soch meri haar teri jit hui
abhi to khel mein antim paDaw zinda hai
Dare Dare hue sahme hue andhere hain
charagh bujh to raha hai dabaw zinda hai
hamein yaqin hai 'nasir' nahin bhaTak sakte
abhi ghazal se hamara lagaw zinda hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.