jo ghar ki baat bahar bolta hai
jo ghar kī baat bāhar boltā hai
vo merā hī barādar boltā hai
ujāle ab hameñ Dasne lage haiñ
sukūt-e-shab kā manzar boltā hai
jaleñge in ġharīboñ ke makāñ phir
yahāñ kā har sitamgar boltā hai
muassir ho jo andāz-e-taḳhātub
paḌā rāhoñ meñ patthar boltā hai
kisī kā qatl hogā phir yaqīnan
chhupā hāthoñ meñ ḳhanjar boltā hai
ravayya ho tumhārā muḳhlisāna
mirī millat kā rahbar boltā hai
'vaqār'-e-haq-navā kī baat sun lo
hazāroñ meñ vo khul kar boltā hai
jo ghar ki baat bahar bolta hai
wo mera hi baradar bolta hai
ujale ab hamein Dasne lage hain
sukut-e-shab ka manzar bolta hai
jalenge in gharibon ke makan phir
yahan ka har sitamgar bolta hai
muassir ho jo andaz-e-taKHatub
paDa rahon mein patthar bolta hai
kisi ka qatl hoga phir yaqinan
chhupa hathon mein KHanjar bolta hai
rawayya ho tumhaara muKHlisana
meri millat ka rahbar bolta hai
'waqar'-e-haq-nawa ki baat sun lo
hazaron mein wo khul kar bolta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.