jo gul khila wo dagh-e-dil-e-bostan hua
jo gul khilā vo dāġh-e-dil-e-bostāñ huā
ibrat nigāh-e-dil na kabhī shādmāñ huā
jo dil meñ rah sakā na zabāñ se bayāñ huā
ban kar junūñ vo rāz-e-mohabbat ayaañ huā
kahne se ġhair ke hue vo teġh-āzmā
mujh ko na āzmā.eñ ki bas imtihāñ huā
is ḳhud-fareb dil ko ummīdeñ haiñ aur vo
nā-mehrbāñ huā na kabhī mehrbāñ huā
aksar rahā maiñ terī jafāoñ se kāmrāñ
achchhā huā vafā kā merī imtihāñ huā
pursān-e-hāl terī jafā bhī rahī na jab
mujh se ḳhilāf-e-vaza.a na zabt-e-fuġhāñ huā
mamnūn-e-beḳhudī huuñ maiñ 'beḳhud' ki umr bhar
mujh par girāñ na bār-e-ġham-e-do-jahāñ huā
jo gul khila wo dagh-e-dil-e-bostan hua
ibrat nigah-e-dil na kabhi shadman hua
jo dil mein rah saka na zaban se bayan hua
ban kar junun wo raaz-e-mohabbat ayan hua
kahne se ghair ke hue wo tegh-azma
mujh ko na aazmaen ki bas imtihan hua
is KHud-fareb dil ko ummiden hain aur wo
na-mehrban hua na kabhi mehrban hua
aksar raha main teri jafaon se kaamran
achchha hua wafa ka meri imtihan hua
pursan-e-haal teri jafa bhi rahi na jab
mujh se KHilaf-e-waza na zabt-e-fughan hua
mamnun-e-beKHudi hun main 'beKHud' ki umr bhar
mujh par giran na bar-e-gham-e-do-jahan hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.