jo guzarta hai guzar jae ji
jo guzartā hai guzar jaa.e jī
aaj vo kar leñ ki bhar jaa.e jī
aaj kī shab yahīñ jiinā marnā
jis ko jaanā ho vo ghar jaa.e jī
is galī se nahīñ jaanā ham ko
aan ruḳhsat ho ki sar jaa.e jī
vaqt ne kar diyā jo karnā thā
koī martā hai to mar jaa.e jī
shāḳh-e-gul mauj-e-havā raqsāñ haiñ
phuul bikhre to bikhar jaa.e jī
manzaroñ ke bhī pare haiñ manzar
aañkh jo ho to nazar jaa.e jī
samt kyā raah kyā manzil kaisī
chal paḌo aap jidhar jaa.e jī
apnī hī soch pe chalnā chāhe
apnī hī soch se Dar jaa.e jī
ye ajab baat hai aksar 'jāved'
jis se rokeñ vahī kar jaa.e jī
jo guzarta hai guzar jae ji
aaj wo kar len ki bhar jae ji
aaj ki shab yahin jina marna
jis ko jaana ho wo ghar jae ji
is gali se nahin jaana hum ko
aan ruKHsat ho ki sar jae ji
waqt ne kar diya jo karna tha
koi marta hai to mar jae ji
shaKH-e-gul mauj-e-hawa raqsan hain
phul bikhre to bikhar jae ji
manzaron ke bhi pare hain manzar
aankh jo ho to nazar jae ji
samt kya rah kya manzil kaisi
chal paDo aap jidhar jae ji
apni hi soch pe chalna chahe
apni hi soch se Dar jae ji
ye ajab baat hai aksar 'jawed'
jis se roken wahi kar jae ji
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.