jo guzarti hai kaha karta hun
jo guzartī hai kahā kartā huuñ
dil ke jazbāt likhā kartā huuñ
chun ke jab laatī hai alfāz zabāñ
lab-e-iz.hār ko vā kartā huuñ
ḳhair se paar lage kashtī-e-zīst
bas yahī ek duā kartā huuñ
zindagī tujh se vafā kī ḳhātir
dil kī āvāz sunā kartā huuñ
ġham meñ bhī rahtā huuñ maiñ ḳhush 'sāhil'
har-nafas aise jiyā kartā huuñ
jo guzarti hai kaha karta hun
dil ke jazbaat likha karta hun
chun ke jab lati hai alfaz zaban
lab-e-izhaar ko wa karta hun
KHair se par lage kashti-e-zist
bas yahi ek dua karta hun
zindagi tujh se wafa ki KHatir
dil ki aawaz suna karta hun
gham mein bhi rahta hun main KHush 'sahil'
har-nafas aise jiya karta hun
- Book : Sada-e-Dil (Pg. 1)
- Author : ashok sahni sahil
- Publication : Mithila, Press, Delhi-92 (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.