jo guzre dil pe chehre par use tahrir karna kya
jo guzre dil pe chehre par use tahrīr karnā kyā
ki ġham kā bhī hai ik mausam use zanjīr karnā kyā
hamāre vāste kaafī thā ik ġhunche kā khil jaanā
hameñ phūloñ bhare bāġhoñ kī ab jāgīr karnā kyā
bahut kuchh kah diyā hai chashm-o-abrū ke ishāroñ ne
ab apne an-kahe jazbāt kī tahqīr karnā kyā
samay kī bārishoñ se dhul ga.iiñ barsoñ kī tahrīreñ
na.e qisse kitāb-e-dil meñ ab tahrīr karnā kyā
nigāhoñ hī meñ jab Thahrā liyā aks-e-nazar terā
gale ke haar meñ kanda tirī tasvīr karnā kyā
to kyā ibrat nahīñ ābādiyoñ ke ye ḳharābe bhī
falak par bastiyāñ jā kar na.ī ta.amīr karnā kyā
tamannāoñ ke jugnū uḌ ga.e haiñ band muTThī se
hathelī kī lakīroñ meñ chhupī taqdīr karnā kyā
jo guzre dil pe chehre par use tahrir karna kya
ki gham ka bhi hai ek mausam use zanjir karna kya
hamare waste kafi tha ek ghunche ka khil jaana
hamein phulon bhare baghon ki ab jagir karna kya
bahut kuchh kah diya hai chashm-o-abru ke ishaaron ne
ab apne an-kahe jazbaat ki tahqir karna kya
samay ki barishon se dhul gain barson ki tahriren
nae qisse kitab-e-dil mein ab tahrir karna kya
nigahon hi mein jab Thahra liya aks-e-nazar tera
gale ke haar mein kanda teri taswir karna kya
to kya ibrat nahin aabaadiyon ke ye KHarabe bhi
falak par bastiyan ja kar nai tamir karna kya
tamannaon ke jugnu uD gae hain band muTThi se
hatheli ki lakiron mein chhupi taqdir karna kya
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 377)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.