jo hai hi nahin wo abhi chahiye
jo hai hī nahīñ vo abhī chāhiye
duā yuuñ na ai multajī chāhiye
yahī chāhiye bas yahī chāhiye
hameñ zindagī sarvarī chāhiye
duā māñgne kā salīqa nahīñ
in āñkhoñ meñ kuchh to namī chāhiye
uge fasl kaise zamīñ bāñjh hai
numū ke liye kuchh namī chāhiye
nahīñ hai pata kal phir aa.e na aa.e
hameñ va.ada-e-sarmadī chāhiye
jo ghaḌnā ho kuuza bhī koī tumheñ
to miTTī bhī chiknī chhanī chāhiye
baḌhā jā rahā hai jo ḳhvāhish kā jaal
to phailī huī zindagī chāhiye
na ho itnī garmī ki jal jaa.e baat
laboñ par numāyāñ tarī chāhiye
zabāñ par na ho shikva-e-tishnagī
samundar sī dariyā-dilī chāhiye
agar dukh hai paiġhambaroñ kī tarah
to phir mujh ko paiġhambarī chāhiye
guzāre haiñ jaise ye do chaar din
hazāroñ baras zindagī chāhiye
talabgār huuñ tere jalve kā maiñ
nahīñ mujh ko lekin ġhashī chāhiye
daraḳhtoñ se chāhe qalam kaaT lo
na saa.e meñ us ke kamī chāhiye
bhaTaktā huuñ raste pe maiñ is liye
ki manzil nahīñ gumrahī chāhiye
uḌo tum jahāzoñ sā 'nusrat' magar
zamīñ par nazar bhī jamī chāhiye
jo hai hi nahin wo abhi chahiye
dua yun na ai multaji chahiye
yahi chahiye bas yahi chahiye
hamein zindagi sarwari chahiye
dua mangne ka saliqa nahin
in aankhon mein kuchh to nami chahiye
uge fasl kaise zamin banjh hai
numu ke liye kuchh nami chahiye
nahin hai pata kal phir aae na aae
hamein wada-e-sarmadi chahiye
jo ghaDna ho kuza bhi koi tumhein
to miTTi bhi chikni chhani chahiye
baDha ja raha hai jo KHwahish ka jal
to phaili hui zindagi chahiye
na ho itni garmi ki jal jae baat
labon par numayan tari chahiye
zaban par na ho shikwa-e-tishnagi
samundar si dariya-dili chahiye
agar dukh hai paighambaron ki tarah
to phir mujh ko paighambari chahiye
guzare hain jaise ye do chaar din
hazaron baras zindagi chahiye
talabgar hun tere jalwe ka main
nahin mujh ko lekin ghashi chahiye
daraKHton se chahe qalam kaT lo
na sae mein us ke kami chahiye
bhaTakta hun raste pe main is liye
ki manzil nahin gumrahi chahiye
uDo tum jahazon sa 'nusrat' magar
zamin par nazar bhi jami chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.