jo hai kitab-e-dil ke hasin iqtibas mein
jo hai kitāb-e-dil ke hasīñ iqtibās meñ
hai tazkira usī kā mirī iltimās meñ
āzād hai jo bāġh-e-vatan aur pur-bahār
shāmil hai merā ḳhuun bhī us kī asaas meñ
us kā koī nasīb hai jis ko ḳhushī meñ bhī
ik ibtilā hai kulfat-o-ummīd-o-yās meñ
kuchh un meñ āshnā-e-haqīqat balā ke haiñ
aate haiñ jo nazar hameñ saada libās meñ
us ḳhās-tar asar kā ho 'in'ām' kyā bayāñ
jo hai nigāh-e-ahl-e-dil-o-haq-shanās meñ
jo hai kitab-e-dil ke hasin iqtibas mein
hai tazkira usi ka meri iltimas mein
aazad hai jo bagh-e-watan aur pur-bahaar
shamil hai mera KHun bhi us ki asas mein
us ka koi nasib hai jis ko KHushi mein bhi
ek ibtila hai kulfat-o-ummid-o-yas mein
kuchh un mein aashna-e-haqiqat bala ke hain
aate hain jo nazar hamein sada libas mein
us KHas-tar asar ka ho 'in'am' kya bayan
jo hai nigah-e-ahl-e-dil-o-haq-shanas mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.