jo hai nae waqt ka taqaza to ye rawish iKHtiyar kar lun
jo hai nae waqt ka taqaza to ye rawish iKHtiyar kar lun
Nazish Haidari
MORE BYNazish Haidari
jo hai na.e vaqt kā taqāzā to ye ravish iḳhtiyār kar luuñ
ki ḳhaar āñkhoñ meñ chun ke rakh luuñ dahakte sho.aloñ ko pyaar kar luuñ
chaman kī fitrat samajh rahā huuñ ḳhizāñ ko bhī jāntā huuñ lekin
ishāre karte haiñ ġhuncha-o-gul ki bandagī-e-bahār kar luuñ
ye dekhnā hai rah-e-talab meñ mileñgī gumrāhiyāñ kahāñ tak
fareb-e-manzil jo de rahe haiñ maiñ vo bagūle shumār kar luuñ
junūñ ne ye mashvara diyā hai na ho kamī un kī justujū meñ
shu.ūr kī maslahat yahī hai shikast kā e'tibār kar luuñ
kahāñ se lā.ūñ maiñ vo nigāheñ jo kashmakash ḳhār-o-gul kī dekheñ
ḳhudā jo taufīq mujh ko de de nazāra-e-kār-zār kar luuñ
ubharte sūraj kī raushnī ke abhī ka.ī zāviye haiñ pinhāñ
kiran jo pahchāntī hai mujh ko maiñ us kā aur intizār kar luuñ
ravā-ravī meñ hai umr merī shikār huuñ ġhalba-e-safar kā
zarā Thahar jaa.e vaqt kī rau shikāyat-e-rozgār kar luuñ
musalsal ik inqalāb kyā kyā zamīr ko chhū rahā hai 'nāzish'
agar karam kā na aasrā ho to sar-kashī iḳhtiyār kar luuñ
jo hai nae waqt ka taqaza to ye rawish iKHtiyar kar lun
ki KHar aankhon mein chun ke rakh lun dahakte shoalon ko pyar kar lun
chaman ki fitrat samajh raha hun KHizan ko bhi jaanta hun lekin
ishaare karte hain ghuncha-o-gul ki bandagi-e-bahaar kar lun
ye dekhna hai rah-e-talab mein milengi gumrahiyan kahan tak
fareb-e-manzil jo de rahe hain main wo bagule shumar kar lun
junun ne ye mashwara diya hai na ho kami un ki justuju mein
shuur ki maslahat yahi hai shikast ka e'tibar kar lun
kahan se laun main wo nigahen jo kashmakash KHar-o-gul ki dekhen
KHuda jo taufiq mujh ko de de nazara-e-kar-zar kar lun
ubharte suraj ki raushni ke abhi kai zawiye hain pinhan
kiran jo pahchanti hai mujh ko main us ka aur intizar kar lun
rawa-rawi mein hai umr meri shikar hun ghalba-e-safar ka
zara Thahar jae waqt ki rau shikayat-e-rozgar kar lun
musalsal ek inqalab kya kya zamir ko chhu raha hai 'nazish'
agar karam ka na aasra ho to sar-kashi iKHtiyar kar lun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.