jo hai rais ghazi-e-guftar aadmi
jo hai ra.iis ġhāzī-e-guftār aadmī
quqnus ke bol bole hai zardār aadmī
jis meñ vafā ḳhulūs mohabbat nahīñ koī
phir kaisā hai vo sāhab-e-kirdār aadmī
miT saktī haiñ ye dūriyāñ lekin ye shart hai
dushman pe dostī kā kare vaar aadmī
dil meñ agar ho 'azm to mushkil nahīñ hai kuchh
kar jā.egā pahāḌ ko mismār aadmī
tūfāñ kī kyā majāl ki phir us ko chhū sake
ban jaa.e jo ye āhanī dīvār aadmī
'jāved' mar ke shahr-e-ḳhamoshāñ na jaa.eñ ham
jab tak uThāne vaale na hoñ chaar aadmī
jo hai rais ghazi-e-guftar aadmi
quqnus ke bol bole hai zardar aadmi
jis mein wafa KHulus mohabbat nahin koi
phir kaisa hai wo sahab-e-kirdar aadmi
miT sakti hain ye duriyan lekin ye shart hai
dushman pe dosti ka kare war aadmi
dil mein agar ho 'azm to mushkil nahin hai kuchh
kar jaega pahaD ko mismar aadmi
tufan ki kya majal ki phir us ko chhu sake
ban jae jo ye aahani diwar aadmi
'jawed' mar ke shahr-e-KHamoshan na jaen hum
jab tak uThane wale na hon chaar aadmi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.