jo hain is par wo us par bhi ho jaenge
jo haiñ is paar vo us paar bhī ho jā.eñge
kuchh tire hāshiya-bardār bhī ho jā.eñge
ham jo dekheñ to jhulas jāoge duniyā vaalo
raakh haiñ raakh se inkār bhī ho jā.eñge
aap to 'ishq meñ sarshār haiñ bīmār bhī haiñ
ham bhī sarshār haiñ bīmār bhī ho jā.eñge
apnī ġhairat ko na bāzār meñ laanā hargiz
log is fan ke ḳharīdār bhī ho jā.eñge
haath bāñdhe hue lāchār khaḌe haiñ jitne
ab vahī qaum ke sardār bhī ho jā.eñge
jin ke chehre haiñ siyāsat ke hasīñ aivāñ meñ
dekhnā kal pas-e-dīvār bhī ho jā.eñge
ye qayāmat kī nishānī hai janāb-e-'irfāñ'
log maz.hab ke ḳharīdār bhī ho jā.eñge
jo hain is par wo us par bhi ho jaenge
kuchh tere hashiya-bardar bhi ho jaenge
hum jo dekhen to jhulas jaoge duniya walo
rakh hain rakh se inkar bhi ho jaenge
aap to 'ishq mein sarshaar hain bimar bhi hain
hum bhi sarshaar hain bimar bhi ho jaenge
apni ghairat ko na bazar mein lana hargiz
log is fan ke KHaridar bhi ho jaenge
hath bandhe hue lachaar khaDe hain jitne
ab wahi qaum ke sardar bhi ho jaenge
jin ke chehre hain siyasat ke hasin aiwan mein
dekhna kal pas-e-diwar bhi ho jaenge
ye qayamat ki nishani hai janab-e-'irfan'
log mazhab ke KHaridar bhi ho jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.