jo hain rind-e-azal gulshan ko mai-KHana samajhte hain
jo hain rind-e-azal gulshan ko mai-KHana samajhte hain
Alam Muzaffar Nagari
MORE BYAlam Muzaffar Nagari
jo haiñ rind-e-azal gulshan ko mai-ḳhāna samajhte haiñ
kalī ko shīsha-e-mai gul ko paimāna samajhte haiñ
haqīqat-āshnā-e-gulsitāñ fasl-e-bahārāñ meñ
hujūm-e-rang-o-bū ko barq-e-kāshāna samajhte haiñ
kisī din jis ke sho.ale ḳhirman-e-hastī ko phūñkeñge
usī bijlī ko ham sham.a-e-tarab-ḳhāna samajhte haiñ
nigāheñ Dālte haiñ markaz-e-vahdat se kasrat par
haram meñ rah ke ham rāz-e-sanam-ḳhāna samajhte haiñ
chhupā lete haiñ har zaḳhm-e-jigar ko fasl-e-gul meñ bhī
chaman meñ phuul manshā-e-ġham-e-pinhāñ samajhte haiñ
‘Alam’ rabt-e-dil-o-paikāñ ab is aalam ko pahuñchā hai
ki ham paikāñ ko dil dil ko kabhī paikāñ samajhte haiñ
jo hain rind-e-azal gulshan ko mai-KHana samajhte hain
kali ko shisha-e-mai gul ko paimana samajhte hain
haqiqat-ashna-e-gulsitan fasl-e-bahaaran mein
hujum-e-rang-o-bu ko barq-e-kashana samajhte hain
kisi din jis ke shoale KHirman-e-hasti ko phunkenge
usi bijli ko hum shama-e-tarab-KHana samajhte hain
nigahen Dalte hain markaz-e-wahdat se kasrat par
haram mein rah ke hum raaz-e-sanam-KHana samajhte hain
chhupa lete hain har zaKHm-e-jigar ko fasl-e-gul mein bhi
chaman mein phul mansha-e-gham-e-pinhan samajhte hain
‘Alam’ rabt-e-dil-o-paikan ab is aalam ko pahuncha hai
ki hum paikan ko dil dil ko kabhi paikan samajhte hain
- Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 283)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.