jo hum kahen wahi tarz-e-bayan rakhta hai
jo ham kaheñ vahī tarz-e-bayān rakhtā hai
vo apne muñh meñ hamārī zabān rakhtā hai
rasā.ī tā-ba-sar-e-lā-makān rakhtā hai
parind-e-fikr ġhazab kī uḌaan rakhtā hai
sunā hai paañv tale āsmān rakhtā hai
faqīr-e-shahr baḌī ān-bān rakhtā hai
vo jis ko sāya-e-dīvār tak nasīb nahīñ
na jaane zehn meñ kitne makān rakhtā hai
bahut balīġh hai andāz-e-guftugū us kā
har ek lafz meñ ik dāstān rakhtā hai
koī na dekh sake us ke ghar kī hālat-e-zār
vo shāyad is liye ūñchā makān rakhtā hai
vo sab se miltā hai hañs kar baḌe ḳhulūs ke saath
anā kī teġh magar darmiyān rakhtā hai
hamāre shahr kī āġhosh vā hai sab ke liye
baḌī kushāda-dilī mezbān rakhtā hai
hameñ to gaañv kī āsūdgī ne luuT liyā
jahāñ faqīr bhī apnā makān rakhtā hai
usī ke sar pe koī sā.ebāñ nahīñ 'tāhir'
jo ḳhud ko sab ke liye sā.ebān rakhtā hai
jo hum kahen wahi tarz-e-bayan rakhta hai
wo apne munh mein hamari zaban rakhta hai
rasai ta-ba-sar-e-la-makan rakhta hai
parind-e-fikr ghazab ki uDan rakhta hai
suna hai panw tale aasman rakhta hai
faqir-e-shahr baDi aan-ban rakhta hai
wo jis ko saya-e-diwar tak nasib nahin
na jaane zehn mein kitne makan rakhta hai
bahut baligh hai andaz-e-guftugu us ka
har ek lafz mein ek dastan rakhta hai
koi na dekh sake us ke ghar ki haalat-e-zar
wo shayad is liye uncha makan rakhta hai
wo sab se milta hai hans kar baDe KHulus ke sath
ana ki tegh magar darmiyan rakhta hai
hamare shahr ki aaghosh wa hai sab ke liye
baDi kushada-dili mezban rakhta hai
hamein to ganw ki aasudgi ne luT liya
jahan faqir bhi apna makan rakhta hai
usi ke sar pe koi saeban nahin 'tahir'
jo KHud ko sab ke liye saeban rakhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.