jo hum par hua hai karam dekhna
jo ham par huā hai karam dekhnā
vo Dhā.egā kyā kyā sitam dekhnā
mayassar kahāñ haiñ tan-āsāniyāñ
muqaddar meñ likkhā hai ġham dekhnā
sitam mere dil par karam ġhair par
zarā un kā tarz-e-amal dekhnā
ḳhudā jaane ye kyā maqām aa gayā
ki mushkil hai naqsh-e-qadam dekhnā
yahī mā-hasal hai ġham-e-ishq kā
ki apnī hī āñkhoñ ko nam dekhnā
use rang-e-duniyā se kyā vāsta
jo chāhe na jāh-o-hasham dekhnā
jo kahte haiñ 'ādil' ki sab kuchh haiñ ham
to un ko ḳhudā kī qasam dekhnā
jo hum par hua hai karam dekhna
wo Dhaega kya kya sitam dekhna
mayassar kahan hain tan-asaniyan
muqaddar mein likkha hai gham dekhna
sitam mere dil par karam ghair par
zara un ka tarz-e-amal dekhna
KHuda jaane ye kya maqam aa gaya
ki mushkil hai naqsh-e-qadam dekhna
yahi ma-hasal hai gham-e-ishq ka
ki apni hi aankhon ko nam dekhna
use rang-e-duniya se kya wasta
jo chahe na jah-o-hasham dekhna
jo kahte hain 'adil' ki sab kuchh hain hum
to un ko KHuda ki qasam dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.