jo ham se tū milā karegā
banda tujh ko duā karegā
bosa tū de kabhū mirī jaan
maulā tirā bhalā karegā
ham tum baiTheñge paas mil kar
vo din bhī kabhū ḳhudā karegā
dil tere kaam kā nahīñ to
banda phir le ke kyā karegā
pachhtā.egā mil ke 'soz' se haañ
ham kahte haiñ burā karegā
hai shoḳh-mizāj 'soz' vallāh
chheḌegā use burā karegā
jo hum se tu mila karega
banda tujh ko dua karega
bosa tu de kabhu meri jaan
maula tera bhala karega
hum tum baiThenge pas mil kar
wo din bhi kabhu KHuda karega
dil tere kaam ka nahin to
banda phir le ke kya karega
pachhtaega mil ke 'soz' se han
hum kahte hain bura karega
hai shoKH-mizaj 'soz' wallah
chheDega use bura karega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.