jo humse zindagi har dam KHafa malum hoti hai
jo ham se zindagī har dam ḳhafā ma.alūm hotī hai
hameñ to saaf apnī hī ḳhatā ma.alūm hotī hai
zarā sī bad-gumānī thī aur un kā ab ye aalam hai
duā dete haiñ un ko bad-duā ma.alūm hotī hai
lagā.eñge gale se kab vo kab nazreñ churāeñge
hameñ pahle se un kī har adā ma.alūm hotī hai
sañvar jaatā hai us se baat karke yuuñ mirā lahja
mujhe ḳhud dil-nashīñ apnī sadā ma.alūm hotī hai
ukhāḌe ḳheme itnī baar ham ḳhāna-ba-doshoñ ne
ki ab apnī sī har āb-o-havā ma.alūm hotī hai
jo hum se zindagi har dam KHafa malum hoti hai
hamein to saf apni hi KHata malum hoti hai
zara si bad-gumani thi aur un ka ab ye aalam hai
dua dete hain un ko bad-dua malum hoti hai
lagaenge gale se kab wo kab nazren churaenge
hamein pahle se un ki har ada malum hoti hai
sanwar jata hai us se baat karke yun mera lahja
mujhe KHud dil-nashin apni sada malum hoti hai
ukhaDe KHeme itni bar hum KHana-ba-doshon ne
ki ab apni si har aab-o-hawa malum hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.