jo hamara sharik-e-haal raha
jo hamārā sharīk-e-hāl rahā
us kā har dam hameñ ḳhayāl rahā
be-niyāzī thī har adā un kī
pyaar apnā magar bahāl rahā
ham na ghabrā.e hādsoñ se kabhī
takiya-e-rabb-e-zul-jalāl rahā
aah mehnat-kashoñ kī majbūrī
rozī roTī kā hī savāl rahā
ho ga.ī shāhkār har taḳhlīq
rū-ba-rū jab tirā jamāl rahā
rāh-e-manzil huī bahut āsāñ
ham-safar jab bhī ham-ḳhayāl rahā
jis ne chāhā na dil se apnoñ ko
zindagī bhar vo pur-malāl rahā
paa.ī me.arāj-e-zindagī us ne
fikr-o-fan meñ jo bā-kamāl rahā
ham ne man-māniyāñ na kiiñ 'nayyar'
āl-o-aulād kā ḳhayāl rahā
jo hamara sharik-e-haal raha
us ka har dam hamein KHayal raha
be-niyazi thi har ada un ki
pyar apna magar bahaal raha
hum na ghabrae hadson se kabhi
takiya-e-rabb-e-zul-jalal raha
aah mehnat-kashon ki majburi
rozi roTi ka hi sawal raha
ho gai shahkar har taKHliq
ru-ba-ru jab tera jamal raha
rah-e-manzil hui bahut aasan
ham-safar jab bhi ham-KHayal raha
jis ne chaha na dil se apnon ko
zindagi bhar wo pur-malal raha
pai mearaj-e-zindagi us ne
fikr-o-fan mein jo ba-kamal raha
hum ne man-maniyan na kin 'nayyar'
aal-o-aulad ka KHayal raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.