jo hamare waste sab din the iman the
jo hamāre vāste sab diin the īmān the
un ke hāthoñ meñ faqat ġhairoñ ke hī dīvān the
phir kahā us ne ki jab vīrān kar degī tumheñ
zindagī is ko batā ham to sadā vīrān the
ye nahīñ ki dard-e-dil dard-e-jigar kā ḳhauf thā
us ke jaane se hameñ kuchh aur bhī nuqsān the
jaane kyoñ saare jahāñ kā dard is dil ko milā
is jahāñ meñ ham se achchhe aur bhī insān the
zindagī ko DhūñDne aa.e haiñ ham tere jahāñ
apnī bastī meñ to har jā maut ke imkān the
ham ne kab chāhā thā ke ham is tarah lāchār hoñ
ye bhī ham pe dostoñ ke jā-ba-jā ehsān the
jo hamare waste sab din the iman the
un ke hathon mein faqat ghairon ke hi diwan the
phir kaha us ne ki jab viran kar degi tumhein
zindagi is ko bata hum to sada viran the
ye nahin ki dard-e-dil dard-e-jigar ka KHauf tha
us ke jaane se hamein kuchh aur bhi nuqsan the
jaane kyon sare jahan ka dard is dil ko mila
is jahan mein hum se achchhe aur bhi insan the
zindagi ko DhunDne aae hain hum tere jahan
apni basti mein to har ja maut ke imkan the
hum ne kab chaha tha ke hum is tarah lachaar hon
ye bhi hum pe doston ke ja-ba-ja ehsan the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.