jo haqiqat-shanas thi bhai
jo haqīqat-shanās thī bhaa.ī
vo nazar bhī badal ga.ī bhaa.ī
kāmnā phir kahāñ koī man meñ
jab se dekhī vo kāminī bhaa.ī
koī bhī moḌ āḳhirī kab hai
hai ye duniyā bahut baḌī bhaa.ī
kyā kisī aur ġham kī ḳhvāhish hai
aa ga.ī kis liye hañsī bhaa.ī
koī 'nudrat-navāz' se kah de
kaahe DhūñDe hai dostī bhaa.ī
jo haqiqat-shanas thi bhai
wo nazar bhi badal gai bhai
kaamna phir kahan koi man mein
jab se dekhi wo kaamini bhai
koi bhi moD aaKHiri kab hai
hai ye duniya bahut baDi bhai
kya kisi aur gham ki KHwahish hai
aa gai kis liye hansi bhai
koi 'nudrat-nawaz' se kah de
kahe DhunDe hai dosti bhai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.