jo ho nasib to girdab se nikal jaun
jo ho nasīb to girdāb se nikal jā.ūñ
maiñ apne halqa-e-ahbāb se nikal jā.ūñ
na-jāne gardish-e-ayyām kyoñ nahīñ ruktī
maiñ gahrī niiñd ke is ḳhvāb se nikal jā.ūñ
maiñ chhup ke baiThā huuñ tanhā.ī ke samundar meñ
sadā jo aa.e tah-e-āb se nikal jā.ūñ
mirī tabī'at-e-muztar yahāñ na Thahregī
ai kaash gosha-e-sīmāb se nikal jā.ūñ
agar vo chāhe to ik pal rukūñ nahīñ 'barham'
maiñ us ke shahr ke har baab se nikal jā.ūñ
jo ho nasib to girdab se nikal jaun
main apne halqa-e-ahbab se nikal jaun
na-jaane gardish-e-ayyam kyon nahin rukti
main gahri nind ke is KHwab se nikal jaun
main chhup ke baiTha hun tanhai ke samundar mein
sada jo aae tah-e-ab se nikal jaun
meri tabi'at-e-muztar yahan na Thahregi
ai kash gosha-e-simab se nikal jaun
agar wo chahe to ek pal rukun nahin 'barham'
main us ke shahr ke har bab se nikal jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.