jo ho saka nahin darpesh use banata hua
jo ho sakā nahīñ darpesh use banātā huā
maiñ ḳhud bhī biit gayā rāste banātā huā
sañvar rahā thā koī ā.ina-nashīñ jab maiñ
figār-dast huā aa.ine banātā huā
banā rahā huuñ tujhe maiñ ki ho mirī takmīl
sañvartā jaatā huuñ maiñ ḳhud tujhe banātā huā
vo ek shakl jo hai us kā markazī kirdār
ujaḌ gayā hai ye manzar use banātā huā
jo ho saka nahin darpesh use banata hua
main KHud bhi bit gaya raste banata hua
sanwar raha tha koi aaina-nashin jab main
figar-dast hua aaine banata hua
bana raha hun tujhe main ki ho meri takmil
sanwarta jata hun main KHud tujhe banata hua
wo ek shakl jo hai us ka markazi kirdar
ujaD gaya hai ye manzar use banata hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.