jo ho sake to aap bhi kuchh kar dikhaiye
jo ho sake to aap bhī kuchh kar dikhā.iye
umr-e-azīz apnī na yuuñ hī gañvā.iye
din ko ThiThurtī dhuup meñ Tāñgeñ pasāriye
rātoñ ko jaag jaag ke mahfil sajā.iye
chaa.e ke ek cup kā yahī hai muāvza
yāroñ ko ahd-e-rafta ke qisse sunā.iye
nām-o-numūd kī ho agar aap ko havas
jaise bhī ho kisī tarah bas chhupte jā.iye
vo ajnabī bhī āshnā ban jā.egā 'matīn'
us kī galī ke roz hī chakkar lagā.iye
jo ho sake to aap bhi kuchh kar dikhaiye
umr-e-aziz apni na yun hi ganwaiye
din ko ThiThurti dhup mein Tangen pasariye
raaton ko jag jag ke mahfil sajaiye
chae ke ek cup ka yahi hai muawza
yaron ko ahd-e-rafta ke qisse sunaiye
nam-o-numud ki ho agar aap ko hawas
jaise bhi ho kisi tarah bas chhupte jaiye
wo ajnabi bhi aashna ban jaega 'matin'
us ki gali ke roz hi chakkar lagaiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.