jo ho sake to kabhi qaid-e-jism-o-jaan se nikal
jo ho sake to kabhī qaid-e-jism-o-jāñ se nikal
yahāñ se maiñ bhī nikaltā huuñ tū vahāñ se nikal
idhar udhar se nikalnā bahut hī mushkil hai
baḌhegī bhiiḌ abhī aur darmiyāñ se nikal
zamīñ bhī terī hai mālik ġhulām bhī tere
kabhī to mere ḳhudā apne āsmāñ se nikal
azal se dasht-e-junūñ tere intizār meñ hai
qabā-e-āgahī ab pheñk de makāñ se nikal
tujhe to manzil-e-mauhūm tak pahuñchnā hai
kaḌī hai dhuup magar phir bhī sā.ebāñ se nikal
sunegā koī na samjhegā terī baat 'shamīm'
hazār baar kahā harf-e-rā.egāñ se nikal
jo ho sake to kabhi qaid-e-jism-o-jaan se nikal
yahan se main bhi nikalta hun tu wahan se nikal
idhar udhar se nikalna bahut hi mushkil hai
baDhegi bhiD abhi aur darmiyan se nikal
zamin bhi teri hai malik ghulam bhi tere
kabhi to mere KHuda apne aasman se nikal
azal se dasht-e-junun tere intizar mein hai
qaba-e-agahi ab phenk de makan se nikal
tujhe to manzil-e-mauhum tak pahunchna hai
kaDi hai dhup magar phir bhi saeban se nikal
sunega koi na samjhega teri baat 'shamim'
hazar bar kaha harf-e-raegan se nikal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.