jo ho sake to takalluf ko eatibar mein la
jo ho sake to takalluf ko e.atibār meñ lā
guloñ kī taaza mahak bhī mire dayār meñ lā
tirī zabāñ pe bhī machleñgī madh-bharī ġhazleñ
suḳhan-navāz tabī.at ko intishār meñ lā
tujhe sunā.ūñ kahānī maiñ kaalī rātoñ kī
junūn-e-shauq ko be-chehragī ke ḳhaar meñ lā
tamām raat bikharte rahe haiñ sannāTe
mirī navā-e-pareshāñ ko iḳhtisār meñ lā
ġhamoñ kā kaam hai har dar pe dastakeñ denā
darīcha-e-dar-e-dil ko bhī to shumār meñ lā
dayār-e-jāñ meñ tahī-dastiyāñ haiñ aam abhī
jo be-qarār sī shai hai use qarār meñ lā
jo ho sake to takalluf ko eatibar mein la
gulon ki taza mahak bhi mere dayar mein la
teri zaban pe bhi machlengi madh-bhari ghazlen
suKHan-nawaz tabiat ko intishaar mein la
tujhe sunaun kahani main kali raaton ki
junun-e-shauq ko be-chehragi ke KHar mein la
tamam raat bikharte rahe hain sannaTe
meri nawa-e-pareshan ko iKHtisar mein la
ghamon ka kaam hai har dar pe dastaken dena
daricha-e-dar-e-dil ko bhi to shumar mein la
dayar-e-jaan mein tahi-dastiyan hain aam abhi
jo be-qarar si shai hai use qarar mein la
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.