jo ho sakta hai us se wo kisi se ho nahin sakta
jo ho saktā hai us se vo kisī se ho nahīñ saktā
magar dekho to phir kuchh aadmī se ho nahīñ saktā
mohabbat meñ kare kyā kuchh kisī se ho nahīñ saktā
mirā marnā bhī to merī ḳhushī se ho nahīñ saktā
alag karnā raqīboñ kā ilāhī tujh ko āsāñ hai
mujhe mushkil ki merī bekasī se ho nahīñ saktā
kiyā hai vā'da-e-fardā unhoñ ne dekhiye kyā ho
yahāñ sabr o tahammul aaj hī se ho nahīñ saktā
ye mushtāq-e-shahādat kis jagah jaa.eñ kise DhūñDeñ
ki terā kaam qātil jab tujhī se ho nahīñ saktā
lagā kar teġh qissa paak kiije dād-ḳhvāhoñ kā
kisī kā faisla gar munsifī se ho nahīñ saktā
mirā dushman ba-zāhir chaar din ko dost hai terā
kisī kā ho rahe ye har kisī se ho nahīñ saktā
dam-e-pursish kahoge kyā vahāñ jab yaañ ye sūrat hai
adā ik harf-e-vāda nāzukī se ho nahīñ saktā
na kahiye go ki hāl-e-dil magar rañg-āshnā haiñ ham
ye zāhir aap kī kyā ḳhāmushī se ho nahīñ saktā
kiyā jo ham ne zālim kyā karegā ġhair muñh kyā hai
kare to sabr aisā aadmī se ho nahīñ saktā
chaman meñ naaz bulbul ne kiyā jo apnī naale par
chaTak kar ġhuncha bolā kyā kisī se ho nahīñ saktā
nahīñ gar tujh pe qaabū dil hī par kuchh zor ho apnā
karūñ kyā ye bhī to nā-tāqatī se ho nahīñ saktā
na ronā hai tarīqe kā na hañsnā hai salīqe kā
pareshānī meñ koī kaam jī se ho nahīñ saktā
huā huuñ is qadar mahjūb 'arz-e-mudda'ā kar ke
ki ab to 'uzr bhī sharmindagī se ho nahīñ saktā
ġhazab meñ jaan hai kyā kiije badla ranj-e-furqat kā
badī se kar nahīñ sakte ḳhushī se ho nahīñ saktā
mazā jo iztirāb-e-shauq se 'āshiq ko hai hāsil
vo taslīm o razā o bandagī se ho nahīñ saktā
ḳhudā jab dost hai ai 'dāġh' kyā dushman se andesha
hamārā kuchh kisī kī dushmanī se ho nahīñ saktā
jo ho sakta hai us se wo kisi se ho nahin sakta
magar dekho to phir kuchh aadmi se ho nahin sakta
mohabbat mein kare kya kuchh kisi se ho nahin sakta
mera marna bhi to meri KHushi se ho nahin sakta
alag karna raqibon ka ilahi tujh ko aasan hai
mujhe mushkil ki meri bekasi se ho nahin sakta
kiya hai wa'da-e-farda unhon ne dekhiye kya ho
yahan sabr o tahammul aaj hi se ho nahin sakta
ye mushtaq-e-shahadat kis jagah jaen kise DhunDen
ki tera kaam qatil jab tujhi se ho nahin sakta
laga kar tegh qissa pak kije dad-KHwahon ka
kisi ka faisla gar munsifi se ho nahin sakta
mera dushman ba-zahir chaar din ko dost hai tera
kisi ka ho rahe ye har kisi se ho nahin sakta
dam-e-pursish kahoge kya wahan jab yan ye surat hai
ada ek harf-e-wada nazuki se ho nahin sakta
na kahiye go ki haal-e-dil magar rang-ashna hain hum
ye zahir aap ki kya KHamushi se ho nahin sakta
kiya jo hum ne zalim kya karega ghair munh kya hai
kare to sabr aisa aadmi se ho nahin sakta
chaman mein naz bulbul ne kiya jo apni nale par
chaTak kar ghuncha bola kya kisi se ho nahin sakta
nahin gar tujh pe qabu dil hi par kuchh zor ho apna
karun kya ye bhi to na-taqati se ho nahin sakta
na rona hai tariqe ka na hansna hai saliqe ka
pareshani mein koi kaam ji se ho nahin sakta
hua hun is qadar mahjub 'arz-e-mudda'a kar ke
ki ab to 'uzr bhi sharmindagi se ho nahin sakta
ghazab mein jaan hai kya kije badla ranj-e-furqat ka
badi se kar nahin sakte KHushi se ho nahin sakta
maza jo iztirab-e-shauq se 'ashiq ko hai hasil
wo taslim o raza o bandagi se ho nahin sakta
KHuda jab dost hai ai 'dagh' kya dushman se andesha
hamara kuchh kisi ki dushmani se ho nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.