jo hona hai wahi hota rahega
jo honā hai vahī hotā rahegā
kabhī hañstā kabhī rotā rahegā
bachā koī mukāfāt-e-amal se
vahī kāTegā jo botā rahegā
kuchh apnā hī bigāḌegā agar tū
bharam apnā miyāñ khotā rahegā
tire aadā nikal jā.eñge aage
agar tū rāt-din sotā rahegā
tū apnā bār-e-isyāñ kam se kam kar
kahāñ tak bojh ye Dhotā rahegā
koī had bhī hai āḳhir āñsuoñ se
kahāñ tak apnā muñh dhotā rahegā
kahīñ tadbīr se Taltā hai 'rizvī'
likhā taqdīr kā hotā rahegā
jo hona hai wahi hota rahega
kabhi hansta kabhi rota rahega
bacha koi mukafat-e-amal se
wahi kaTega jo bota rahega
kuchh apna hi bigaDega agar tu
bharam apna miyan khota rahega
tere aada nikal jaenge aage
agar tu raat-din sota rahega
tu apna bar-e-isyan kam se kam kar
kahan tak bojh ye Dhota rahega
koi had bhi hai aaKHir aansuon se
kahan tak apna munh dhota rahega
kahin tadbir se Talta hai 'rizwi'
likha taqdir ka hota rahega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.