jo hua wo zehn mein tha nahin jo tha zehn mein wo hua nahin
jo hua wo zehn mein tha nahin jo tha zehn mein wo hua nahin
Ehtisham ul Haq Siddiqui
MORE BYEhtisham ul Haq Siddiqui
jo huā vo zehn meñ thā nahīñ jo thā zehn meñ vo huā nahīñ
jo gumān meñ na thā mil gayā jo thā haath meñ vo milā nahīñ
vo jo ham meñ tum meñ thā fāsla ye kamāl us ke sabab huā
vo sunā gayā jo kahā nahīñ jo kahā gayā vo sunā nahīñ
vahī kibr hai mirī ḳhaak meñ vahī jahl hai mirī zaat meñ
jo sharār hai vo bujhā nahīñ jo charāġh hai vo jalā nahīñ
vahī thī havā vahī thī fazā hameñ bas paroñ ko thā kholnā
tujhe ḳhauf thā tū uḌā nahīñ mujhe shauq thā maiñ rukā nahīñ
sam-e-zāt ho sam-e-kun-fakāñ sam-e-ġhair ho sam-e-dostāñ
koī zahr mujh se bachā nahīñ koī zahr tum ne piyā nahīñ
vo to ḳhatm kah ke guzar gayā maiñ ḳhayāl-e-hijr se mar gayā
vo gayā to pīchhe muḌā nahīñ maiñ kahīñ yahāñ se gayā nahīñ
jo hua wo zehn mein tha nahin jo tha zehn mein wo hua nahin
jo guman mein na tha mil gaya jo tha hath mein wo mila nahin
wo jo hum mein tum mein tha fasla ye kamal us ke sabab hua
wo suna gaya jo kaha nahin jo kaha gaya wo suna nahin
wahi kibr hai meri KHak mein wahi jahl hai meri zat mein
jo sharar hai wo bujha nahin jo charagh hai wo jala nahin
wahi thi hawa wahi thi faza hamein bas paron ko tha kholna
tujhe KHauf tha tu uDa nahin mujhe shauq tha main ruka nahin
sam-e-zat ho sam-e-kun-fakan sam-e-ghair ho sam-e-dostan
koi zahr mujh se bacha nahin koi zahr tum ne piya nahin
wo to KHatm kah ke guzar gaya main KHayal-e-hijr se mar gaya
wo gaya to pichhe muDa nahin main kahin yahan se gaya nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.