jo husn tujh mein hai wo aKHtar-o-qamar mein nahin
jo husn tujh meñ hai vo aḳhtar-o-qamar meñ nahīñ
tirī misāl kā koī mirī nazar meñ nahīñ
ye maanā raat huī ḳhatm sub.h to aa.ī
sahar kā husn magar aaj kyoñ sahar meñ nahīñ
sabab jo baat banī us kī sarfarāzī kā
vo baat zarra barābar bhī rāhbar meñ nahīñ
matā-e-dard atā kar ai nāvak-e-mizhgāñ
chubhan vo pahlī sī mere dil-o-jigar meñ nahīñ
kamāl-e-azm kī hamrāh raushnī hai 'riyāz'
kisī tarah kā bhī khaTkā mujhe safar meñ nahīñ
jo husn tujh mein hai wo aKHtar-o-qamar mein nahin
teri misal ka koi meri nazar mein nahin
ye mana raat hui KHatm subh to aai
sahar ka husn magar aaj kyon sahar mein nahin
sabab jo baat bani us ki sarfaraazi ka
wo baat zarra barabar bhi rahbar mein nahin
mata-e-dard ata kar ai nawak-e-mizhgan
chubhan wo pahli si mere dil-o-jigar mein nahin
kamal-e-azm ki hamrah raushni hai 'riyaz'
kisi tarah ka bhi khaTka mujhe safar mein nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.