jo iltifat zara bhi nigah-e-yar kare
jo iltifāt zarā bhī nigāh-e-yār kare
mirī ḳhizāñ ko na sharminda-e-bahār kare
vo zindagī ki jo tār-e-nafas pe ho mauqūf
ḳhilāf-e-aql hai us kā jo e.atibār kare
chhupā rahā huuñ maiñ ai zabt-e-ġham mohabbat ko
magar ye Dar hai ki ifshā nigāh-e-yār kare
jo ban gayā hai sabab rāhatoñ kā duniyā meñ
vahī gunāh na mahshar meñ sharmsār kare
usī ko hāsil-e-sad-zindagī samajhtā huuñ
vo naqd-e-umr jise sarf-e-rāh-e-yār kare
sipās-sanj-e-ḳhizāñ hī tamām umr rahūñ
vo dil na de ki jo girvīda-e-bahār kare
vo jaan de na sukūñ kī talāsh ho jis ko
vo dil hameñ de jo har lahza be-qarār kare
zahe-nasīb mire vaah re karam us kā
jo apne bandoñ meñ mujh ko bhī vo shumār kare
banā.ūñ rashk-e-bahārāñ na kis liye us ko
vo zaḳhm jo mire siine ko gul-ezār kare
tarīq-e-kār hameñ ho atā vahī yā-rab
binā-e-rasm-e-mohabbat jo ustuvār kare
payām-e-vasl na kyoñ le ke maut aa jaa.e
tamām umr agar sarf-e-rāh-e-yār kare
dayār-e-sarvar-e-ḳhūbāñ se vo nasīm aa.e
mirī ḳhizāñ ko jo sarmāya-e-bahār kare
na sargirāñ ho vahī baada chāhtā huuñ maiñ
vo baada kyā ho jo sarf-e-rah-e-ḳhumār kare
jo inqalāb pasand kā.enāt ḳhud hī ho
to phir zamāne kā kyā koī e.atibār kare
maiñ miT chukā huuñ magar Dar mujhe ye hai 'mehdī'
sitam na.e na kahīñ aur rozgār kare
jo iltifat zara bhi nigah-e-yar kare
meri KHizan ko na sharminda-e-bahaar kare
wo zindagi ki jo tar-e-nafas pe ho mauquf
KHilaf-e-aql hai us ka jo eatibar kare
chhupa raha hun main ai zabt-e-gham mohabbat ko
magar ye Dar hai ki ifsha nigah-e-yar kare
jo ban gaya hai sabab rahaton ka duniya mein
wahi gunah na mahshar mein sharmsar kare
usi ko hasil-e-sad-zindagi samajhta hun
wo naqd-e-umr jise sarf-e-rah-e-yar kare
sipas-sanj-e-KHizan hi tamam umr rahun
wo dil na de ki jo girwida-e-bahaar kare
wo jaan de na sukun ki talash ho jis ko
wo dil hamein de jo har lahza be-qarar kare
zahe-nasib mere wah re karam us ka
jo apne bandon mein mujh ko bhi wo shumar kare
banaun rashk-e-bahaaran na kis liye us ko
wo zaKHm jo mere sine ko gul-ezar kare
tariq-e-kar hamein ho ata wahi ya-rab
bina-e-rasm-e-mohabbat jo ustuwar kare
payam-e-wasl na kyon le ke maut aa jae
tamam umr agar sarf-e-rah-e-yar kare
dayar-e-sarwar-e-KHuban se wo nasim aae
meri KHizan ko jo sarmaya-e-bahaar kare
na sargiran ho wahi baada chahta hun main
wo baada kya ho jo sarf-e-rah-e-KHumar kare
jo inqalab pasand kaenat KHud hi ho
to phir zamane ka kya koi eatibar kare
main miT chuka hun magar Dar mujhe ye hai 'mehdi'
sitam nae na kahin aur rozgar kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.