jo inkar sar ke jhukane ko hai
jo inkār sar ke jhukāne ko hai
gilā ham se saare zamāne ko hai
mayassar hai har-dil-azīzī use
muravvat bhī us kī dikhāne ko hai
ye qissa hai dil kā na hogā tamām
abhī aur kitnā sunāne ko hai
nayā ik alamiya na.ī ibtilā
ḳhudā bhī hameñ āzmāne ko hai
ajab hai ye vīrān sahrā yahāñ
na tinkā koī āshiyāne ko hai
haram se bhī lauTe to 'at.har-shakīl'
safar un kā phir bāda-ḳhāne ko hai
jo inkar sar ke jhukane ko hai
gila hum se sare zamane ko hai
mayassar hai har-dil-azizi use
murawwat bhi us ki dikhane ko hai
ye qissa hai dil ka na hoga tamam
abhi aur kitna sunane ko hai
naya ek alamiya nai ibtila
KHuda bhi hamein aazmane ko hai
ajab hai ye viran sahra yahan
na tinka koi aashiyane ko hai
haram se bhi lauTe to 'athar-shakil'
safar un ka phir baada-KHane ko hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.