jo is baras nahin agle baras mein de de tu
jo is baras nahīñ agle baras meñ de de tū
ye kā.enāt mirī dastaras meñ de de tū
sukūn chāhtā huuñ maiñ sukūn chāhtā huuñ
khulī fazā meñ nahīñ to qafas meñ de de tū
ye kyā ki harf-e-du'ā par bhī barf jamne lagī
koī sulagtā sharāra nafas meñ de de tū
maiñ donoñ kaam meñ mashshāq huuñ magar mujh ko
zarā tamīz to 'ishq-o-havas meñ de de tū
us ek shaḳhs ke saath ek 'umr rah luuñ maiñ
bas ek lamha mujhe mere bas meñ de de tū
jo is baras nahin agle baras mein de de tu
ye kaenat meri dastaras mein de de tu
sukun chahta hun main sukun chahta hun
khuli faza mein nahin to qafas mein de de tu
ye kya ki harf-e-du'a par bhi barf jamne lagi
koi sulagta sharara nafas mein de de tu
main donon kaam mein mashshaq hun magar mujh ko
zara tamiz to 'ishq-o-hawas mein de de tu
us ek shaKHs ke sath ek 'umr rah lun main
bas ek lamha mujhe mere bas mein de de tu
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 63)
- Author :Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.