jo is tarah se main KHud ko pachhaD leta hun
jo is tarah se maiñ ḳhud ko pachhāḌ letā huuñ
banā banāyā ta.alluq bigāḌ letā huuñ
maiñ nā-samajh to nahīñ ranjishoñ se laḌtā phirūñ
maiñ ruḳh badal ke mohabbat kī aaḌ letā huuñ
jo gard zehn pe girtī hai bad-gumānī kī
maiñ gaahe gaahe use ḳhud hī jhaaḌ letā huuñ
maiñ rāhatoñ se kabhī mutma.in nahīñ hotā
maiñ soch soch ke ḳhushiyāñ ujaaḌ letā huuñ
ye dard bhī yūñhī aTkheliyāñ nahīñ karte
kabhī kabhī maiñ inheñ chheḌ-chhāḌ letā huuñ
tumhāre dukh meñ koī aur dukh milātā nahīñ
maiñ shab guzār ke ḳhema ukhāḌ letā huuñ
kitāb-e-zīst tujhe ġham nahīñ thamātā koī
maiñ din guzār ke safhe ko phaaḌ letā huuñ
jo is tarah se main KHud ko pachhaD leta hun
bana banaya talluq bigaD leta hun
main na-samajh to nahin ranjishon se laDta phirun
main ruKH badal ke mohabbat ki aaD leta hun
jo gard zehn pe girti hai bad-gumani ki
main gahe gahe use KHud hi jhaD leta hun
main rahaton se kabhi mutmain nahin hota
main soch soch ke KHushiyan ujaD leta hun
ye dard bhi yunhi aTkheliyan nahin karte
kabhi kabhi main inhen chheD-chhaD leta hun
tumhaare dukh mein koi aur dukh milata nahin
main shab guzar ke KHema ukhaD leta hun
kitab-e-zist tujhe gham nahin thamata koi
main din guzar ke safhe ko phaD leta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.