Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo is zamin se kabhi phir numu karunga main

Haneef Najmi

jo is zamin se kabhi phir numu karunga main

Haneef Najmi

MORE BYHaneef Najmi

    jo is zamīñ se kabhī phir numū karūñgā maiñ

    to chehra chehra tirī justujū karūñgā maiñ

    huuñ dard-mand tumhārā magar ye mat socho

    jo tum kahoge vahī mū-ba-mū karūñgā maiñ

    mirī vafā meñ kuchh apnī ġharaz bhī shāmil hai

    so apne zaḳhm ko pahle rafū karūñgā maiñ

    jo mujh ko dekhegā fauran pukār uTThegā

    ki iḳhtiyār tumheñ hū-ba-hū karūñgā maiñ

    agar jahāñ meñ koī aa.inā nahīñ terā

    to phir tujhī ko tire rū-ba-rū karūñgā maiñ

    ye zindagī to sarī-uzzavāl hai 'najmī'

    dil apnā is ke liye kyuuñ lahū karūñgā maiñ

    jo is zamin se kabhi phir numu karunga main

    to chehra chehra teri justuju karunga main

    hun dard-mand tumhaara magar ye mat socho

    jo tum kahoge wahi mu-ba-mu karunga main

    meri wafa mein kuchh apni gharaz bhi shamil hai

    so apne zaKHm ko pahle rafu karunga main

    jo mujh ko dekhega fauran pukar uTThega

    ki iKHtiyar tumhein hu-ba-hu karunga main

    agar jahan mein koi aaina nahin tera

    to phir tujhi ko tere ru-ba-ru karunga main

    ye zindagi to sari-uzzawal hai 'najmi'

    dil apna is ke liye kyun lahu karunga main

    Source :
    • Book : Sehmaahi Aamad (Pg. 122)
    • Author : Azeema Firdausi
    • Publication : Arzoo Manzil, Sheesh Mahal Colony, Alamganj, Patna (Volume:2, Issue:5, Oct. Dec 2013)
    • Edition : Volume:2, Issue:5, Oct. Dec 2013
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now