jo is zamir faroshi ke maherin mein hai
jo is zamīr faroshī ke māherīn meñ hai
vo aadmī bhī sunā hai muarraḳhīn meñ hai
baḌhā rahā hai mirī samt dostī kā haath
zarūr baat koī us kī āstīn meñ hai
zamāna biit gayā shahr-e-dushmanī chhoḌe
mirā shumār abhī tak muhājirīn meñ hai
vo mujh se kahtā hai phūloñ se ehtiyāt karo
mirā vo dost bhī mere munāfiqīn meñ hai
maiñ āsmān kī bātoñ se ḳhush nahīñ hotā
mire ḳhamīr kī miTTī isī zamīn meñ hai
hiran sā vahshī mohabbat kā dars detā hai
ye vāqi.a hai kitāb-e-sabuktagīn meñ hai
ġhazal meñ ahd-nigārī kā husn bhī hai kamāl
mirā ḳhayāl yaqīnan kisī hasīn meñ hai
jo is zamir faroshi ke maherin mein hai
wo aadmi bhi suna hai muarraKHin mein hai
baDha raha hai meri samt dosti ka hath
zarur baat koi us ki aastin mein hai
zamana bit gaya shahr-e-dushmani chhoDe
mera shumar abhi tak muhajirin mein hai
wo mujh se kahta hai phulon se ehtiyat karo
mera wo dost bhi mere munafiqin mein hai
main aasman ki baaton se KHush nahin hota
mere KHamir ki miTTi isi zamin mein hai
hiran sa wahshi mohabbat ka dars deta hai
ye waqia hai kitab-e-sabuktagin mein hai
ghazal mein ahd-nigari ka husn bhi hai kamal
mera KHayal yaqinan kisi hasin mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.