jo ittifaq se hum sahab-e-farash hue
jo ittifāq se ham sāhab-e-farāsh hue
to ham pe rāz-e-azīzāñ bhī ḳhuub faash hue
ham aa.ina to nahīñ phir bhī raat bistar par
gire jo aa ke to girte hī pāsh-pāsh hue
kise sunā.iye āzādgān-e-shahr kā haal
ki rafta-rafta sabhī kushta-e-ma.āsh hue
na pūchh ashk-e-riyā-kār kā ma.aal ai dost
vo ashk to ruḳh-e-ehsās kī ḳharāsh hue
tamām umr talāsh-e-sukūñ rahī ham ko
tamām umr na āsūda-e-talāsh hue
kahāñ kī naġhma-sarā.ī ki sāz-e-hastī ke
tamām taar hī mahrūm-e-irti.āsh hue
janāb-e-'lais' jo ahbāb se gurezāñ the
ye inqalāb to dekho ki yār-bāsh hue
jo ittifaq se hum sahab-e-farash hue
to hum pe raaz-e-azizan bhi KHub fash hue
hum aaina to nahin phir bhi raat bistar par
gire jo aa ke to girte hi pash-pash hue
kise sunaiye aazadgan-e-shahr ka haal
ki rafta-rafta sabhi kushta-e-maash hue
na puchh ashk-e-riya-kar ka maal ai dost
wo ashk to ruKH-e-ehsas ki KHarash hue
tamam umr talash-e-sukun rahi hum ko
tamam umr na aasuda-e-talash hue
kahan ki naghma-sarai ki saz-e-hasti ke
tamam tar hi mahrum-e-irtiash hue
janab-e-'lais' jo ahbab se gurezan the
ye inqalab to dekho ki yar-bash hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.