jo jhuTlata raha hai zindagi ko
jo jhuTlātā rahā hai zindagī ko
zarā pahchān leñ us aadmī ko
ujāle bāñTtī phirtī hai duniyā
siyāhī se ulajhtī raushnī ko
azal se gūñjtā manzar hai hastī
sadā do jism kī be-chehragī ko
na dekhā tum ne saḌkoñ se guzarte
bikhartī saañs letī zindagī ko
nahīñ mohlat ki maiñ ḳhurshīd detā
tirī āñkhoñ kī bujhtī raushnī ko
jo hai is shahr meñ munkir suḳhan kā
sunāo ye ġhazal 'sāqib' usī ko
jo jhuTlata raha hai zindagi ko
zara pahchan len us aadmi ko
ujale banTti phirti hai duniya
siyahi se ulajhti raushni ko
azal se gunjta manzar hai hasti
sada do jism ki be-chehragi ko
na dekha tum ne saDkon se guzarte
bikharti sans leti zindagi ko
nahin mohlat ki main KHurshid deta
teri aankhon ki bujhti raushni ko
jo hai is shahr mein munkir suKHan ka
sunao ye ghazal 'saqib' usi ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.