Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo jo shuur-e-zehn pe aata chala gaya

Ahsan Lakhnavi

jo jo shuur-e-zehn pe aata chala gaya

Ahsan Lakhnavi

MORE BYAhsan Lakhnavi

    jo jo shu.ūr-e-zehn pe aatā chalā gayā

    dil kulfatoñ ke daaġh miTātā chalā gayā

    kar bahār-e-nau ke gul-e-nudrat-e-ḳhayal

    sahrā ko maiñ chaman banātā chalā gayā

    allāh ye fazl hai mujh pe ki bahr-e-ilm

    kuuze se mere dil meñ samātā chalā gayā

    alfāz ke guhar se ġhazal zamīñ ko maiñ

    jaise falak-nazhād banātā chalā gayā

    tār-e-nafas pe chheḌ ke ik naġhma-e-hayāt

    maiñ āgahī ke saaz pe gaatā chalā gayā

    ulfat raah kar ke zamāne pe āshkār

    'ahsan' maiñ ḳhār-e-rāh haTātā chalā gayā

    jo jo shuur-e-zehn pe aata chala gaya

    dil kulfaton ke dagh miTata chala gaya

    la kar bahaar-e-nau ke gul-e-nudrat-e-KHayal

    sahra ko main chaman sa banata chala gaya

    allah ka ye fazl hai mujh pe ki bahr-e-ilm

    kuze se mere dil mein samata chala gaya

    alfaz ke guhar se ghazal ki zamin ko main

    jaise falak-nazhad banata chala gaya

    tar-e-nafas pe chheD ke ek naghma-e-hayat

    main aagahi ke saz pe gata chala gaya

    ulfat ki rah kar ke zamane pe aashkar

    'ahsan' main KHar-e-rah haTata chala gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now