jo junun-ashna nahin hota
jo junūñ-āshnā nahīñ hotā
aadmī kaam kā nahīñ hotā
baat kartā hai nāḳhudā aise
jaise koī ḳhudā nahīñ hotā
un se aksar milī ḳhabar terī
jin ko apnā pata nahīñ hotā
jism-e-fānī to ik labāda hai
marne vaalā fanā nahīñ hotā
daar tak to junūñ hī jaatā hai
aql meñ hausla nahīñ hotā
laakh majbūr hai bashar phir bhī
ye jo chāhe to kyā nahīñ hotā
dil se jab tak adā na ho 'sābir'
koī sajda ravā nahīñ hotā
jo junun-ashna nahin hota
aadmi kaam ka nahin hota
baat karta hai naKHuda aise
jaise koi KHuda nahin hota
un se aksar mili KHabar teri
jin ko apna pata nahin hota
jism-e-fani to ek labaada hai
marne wala fana nahin hota
dar tak to junun hi jata hai
aql mein hausla nahin hota
lakh majbur hai bashar phir bhi
ye jo chahe to kya nahin hota
dil se jab tak ada na ho 'sabir'
koi sajda rawa nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.