jo kabhi apne the wo hue dur hain
jo kabhī apne the vo hue duur haiñ
ham bhī thak haar ke ho ga.e chuur haiñ
ḳhuub charche haiñ ab apne bhī ġhairoñ meñ
kal jo badnām the aaj mash.hūr haiñ
auroñ se karte haiñ hañs ke vo baat yuuñ
kis kī āñkhoñ ke vo ban ga.e nuur haiñ
zinda-dil ban guzārī hai ye zindagī
jo huā pyaar to kaise majbūr haiñ
kis ke va.ade pe ham ne bharosa kiyā
vo jo kahte jafā.eñ to dastūr haiñ
maut sachchā.ī hai aur ise maan kar
un ke hāthoñ hue qatl mashkūr haiñ
ye laḌā.ī bhī ab ḳhud se hai yā-ḳhudā
faisle tere 'qāsid' ko manzūr haiñ
jo kabhi apne the wo hue dur hain
hum bhi thak haar ke ho gae chur hain
KHub charche hain ab apne bhi ghairon mein
kal jo badnam the aaj mashhur hain
auron se karte hain hans ke wo baat yun
kis ki aankhon ke wo ban gae nur hain
zinda-dil ban guzari hai ye zindagi
jo hua pyar to kaise majbur hain
kis ke wade pe hum ne bharosa kiya
wo jo kahte jafaen to dastur hain
maut sachchai hai aur ise man kar
un ke hathon hue qatl mashkur hain
ye laDai bhi ab KHud se hai ya-KHuda
faisle tere 'qasid' ko manzur hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.