jo kah diya wo kar ke dikhana paDa mujhe
jo kah diyā vo kar ke dikhānā paḌā mujhe
is dil-lagī meñ jaan se jaanā paḌā mujhe
jis ke baġhair saañs bhī lenā muhāl thā
haa.e vo ek shaḳhs bhulānā paḌā mujhe
jīvan meñ koī aur thā dil meñ thā koī aur
donoñ se haal dil kā chhupānā paḌā mujhe
phir jis ke baa'd milne kā imkān hī na thā
āḳhir vo faisla bhī sunānā paḌā mujhe
is baar hausle se jo ġham us ke sah ga.ī
ehsān zindagī kā uThānā paḌā mujhe
chāhat meñ ek moḌ judā.ī kā thā magar
dil ne kahā to lauT ke aanā paḌā mujhe
nārāz thī maiñ us se magar is ke bāvajūd
collar meñ us ke phuul sajānā paḌā mujhe
vo chāhtā nahīñ thā mirī zaat kī numū
hastī ko is liye bhī miTānā paḌā mujhe
maiñ jis ko dekhne kī ravā-dār tak na thī
sar us ke sāmne bhī jhukānā paḌā mujhe
apne lahū se diip jalā kar tamām raat
ai ishq terā jashn manānā paḌā mujhe
vo rāsta na bhaTke 'sadaf' is ke vāste
dariyā meñ ik charāġh bahānā paḌā mujhe
jo kah diya wo kar ke dikhana paDa mujhe
is dil-lagi mein jaan se jaana paDa mujhe
jis ke baghair sans bhi lena muhaal tha
hae wo ek shaKHs bhulana paDa mujhe
jiwan mein koi aur tha dil mein tha koi aur
donon se haal dil ka chhupana paDa mujhe
phir jis ke ba'd milne ka imkan hi na tha
aaKHir wo faisla bhi sunana paDa mujhe
is bar hausle se jo gham us ke sah gai
ehsan zindagi ka uThana paDa mujhe
chahat mein ek moD judai ka tha magar
dil ne kaha to lauT ke aana paDa mujhe
naraaz thi main us se magar is ke bawajud
collar mein us ke phul sajaana paDa mujhe
wo chahta nahin tha meri zat ki numu
hasti ko is liye bhi miTana paDa mujhe
main jis ko dekhne ki rawa-dar tak na thi
sar us ke samne bhi jhukana paDa mujhe
apne lahu se dip jala kar tamam raat
ai ishq tera jashn manana paDa mujhe
wo rasta na bhaTke 'sadaf' is ke waste
dariya mein ek charagh bahana paDa mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.