jo kah na paun wo kaghaz pe Dhaal deta hun
jo kah na pā.ūñ vo kāġhaz pe Dhaal detā huuñ
ġhubār dil ke maiñ yuuñ bhī nikāl detā huuñ
ġham-e-hayāt se jab be-qarār hotā huuñ
tasalliyāñ mire dil ko kamāl detā huuñ
kamāl-e-zabt se apne kabhī irādoñ se
musībatoñ ko maiñ hairat meñ Daal detā huuñ
ḳhayāl-o-ḳhvāb kā mumkin nahīñ jahāñ jaanā
maiñ apne aap ko aisā savāl detā huuñ
aqīdatoñ se nahīñ 'auj' ḳhud amal kar ke
maiñ apnī qabr ke goshe ujaal detā huuñ
jo kah na paun wo kaghaz pe Dhaal deta hun
ghubar dil ke main yun bhi nikal deta hun
gham-e-hayat se jab be-qarar hota hun
tasalliyan mere dil ko kamal deta hun
kamal-e-zabt se apne kabhi iradon se
musibaton ko main hairat mein Dal deta hun
KHayal-o-KHwab ka mumkin nahin jahan jaana
main apne aap ko aisa sawal deta hun
aqidaton se nahin 'auj' KHud amal kar ke
main apni qabr ke goshe ujal deta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.