jo kah rahe hain ye andaz mujrimana hai
jo kah rahe haiñ ye andāz mujrimāna hai
lahū meñ un ke talātum nayā uThānā hai
nahīñ hai shikva raqīboñ se is tabāhī kā
ye apne haath se karnī kā shāḳhsāna hai
maiñ us ke aage bhalā kaise jiit saktā huuñ
vo jis kā shauq hai yaaro mujhe harānā hai
dayār-e-ġhair ke anjān dasht ke raahī
kise ḳhabar hai kahāñ kis kā āb-o-dāna hai
sadā faqīr kī elaan kartī hai goyā
mujhe talāsh-e-ruḳh-o-qalb-e-ājizāna hai
rumūz-e-fahm-o-farāsat haiñ har jagah pinhāñ
janāb-e-mīr kā har sher āqilāna hai
hai ye bhī bā.is-e.azāz ai mire munsif
hamāre shāna-ba-shāna tumhārā shāna hai
ḳhudā kare ki mirī qaum ko uruuj mile
amīr-e-shahr kā andāz fātehāna hai
ajab tamāsha hai hairān ho rahā huuñ maiñ
ki jāhiloñ kā bhī andāz ālimāna hai
ajiib tarz-e-hukūmat hai hukmarānoñ kā
jidhar bhī dekhiye 'anjum' ġharīb-ḳhāna hai
jo kah rahe hain ye andaz mujrimana hai
lahu mein un ke talatum naya uThana hai
nahin hai shikwa raqibon se is tabahi ka
ye apne hath se karni ka shaKHsana hai
main us ke aage bhala kaise jit sakta hun
wo jis ka shauq hai yaro mujhe harana hai
dayar-e-ghair ke anjaan dasht ke rahi
kise KHabar hai kahan kis ka aab-o-dana hai
sada faqir ki elan karti hai goya
mujhe talash-e-ruKH-o-qalb-e-ajizana hai
rumuz-e-fahm-o-farasat hain har jagah pinhan
janab-e-mir ka har sher aaqilana hai
hai ye bhi bais-eazaz ai mere munsif
hamare shana-ba-shana tumhaara shana hai
KHuda kare ki meri qaum ko uruj mile
amir-e-shahr ka andaz fatehana hai
ajab tamasha hai hairan ho raha hun main
ki jahilon ka bhi andaz aalimana hai
ajib tarz-e-hukumat hai hukmaranon ka
jidhar bhi dekhiye 'anjum' gharib-KHana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.