Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo kah rahe the mere sath sath aaenge

Kewal Krishan Rishi

jo kah rahe the mere sath sath aaenge

Kewal Krishan Rishi

MORE BYKewal Krishan Rishi

    jo kah rahe the mere saath saath ā.eñge

    mujhe ḳhabar thī vahī saath chhoḌ jā.eñge

    jo ghar banāo to ik peḌ bhī lagā lenā

    parinde saare mohalle meñ chahchahā.eñge

    zamīñ bhī paañv nahīñ rakhne detī ab ham ko

    hameñ ye zid thī nayā āsmāñ banā.eñge

    ḳhudā ke vāste in ko nasīhateñ na karo

    ye nek bachche bure kaam siikh jā.eñge

    ġhazal kahī hai ye ham ne 'rishī' taraddud se

    suḳhan-navāz mileñge to ham sunā.eñge

    jo kah rahe the mere sath sath aaenge

    mujhe KHabar thi wahi sath chhoD jaenge

    jo ghar banao to ek peD bhi laga lena

    parinde sare mohalle mein chahchahaenge

    zamin bhi panw nahin rakhne deti ab hum ko

    hamein ye zid thi naya aasman banaenge

    KHuda ke waste in ko nasihaten na karo

    ye nek bachche bure kaam sikh jaenge

    ghazal kahi hai ye hum ne 'rishi' taraddud se

    suKHan-nawaz milenge to hum sunaenge

    Source :
    • Book : Nuquush-e-daaG (Pg. 163)
    • Author : Sahir Hoshiyarpuri
    • Publication : Haryana Urdu Acadami (1992)
    • Edition : 1992
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now