jo kaha jis ne ba-zid hai use manwane mein
jo kahā jis ne ba-zid hai use manvāne meñ
baat kuchh aur ulajhtī ga.ī suljhāne meñ
kaun samjhegā adā kī hai jo qīmat ham ne
muft hī ḳhud ko gañvā baiThe use paane meñ
kyā kahā aap ne nuqsān huā kuchh bhī nahīñ
aa.ina TuuT gayā aap ke sharmāne meñ
dāstāñ itnī hai āġhāz se anjām talak
husn thā parda-nashīñ ishq thā vīrāne meñ
kaam ab ahl-e-siyāsat kā yahāñ koī nahīñ
aag nafrat kī lage rahte haiñ bhaḌkāne meñ
DhūñDte kyā ho mile jis se kisī ko saaya
aisā kirdār nahīñ dhuup ke afsāne meñ
kyā huā kis liye ġham koī bhī mātam karne
aaj aayā hī nahīñ dil ke azā-ḳhāne meñ
kho diyā hosh hī jis jis ne lagāyā muñh se
kyā balā kā hai nasha ishq ke paimāne meñ
yaad 'ash.har' na dilā mujh ko vo guzrī bāteñ
der lagtī hai kahāñ choT ubhar aane meñ
jo kaha jis ne ba-zid hai use manwane mein
baat kuchh aur ulajhti gai suljhane mein
kaun samjhega ada ki hai jo qimat hum ne
muft hi KHud ko ganwa baiThe use pane mein
kya kaha aap ne nuqsan hua kuchh bhi nahin
aaina TuT gaya aap ke sharmane mein
dastan itni hai aaghaz se anjam talak
husn tha parda-nashin ishq tha virane mein
kaam ab ahl-e-siyasat ka yahan koi nahin
aag nafrat ki lage rahte hain bhaDkane mein
DhunDte kya ho mile jis se kisi ko saya
aisa kirdar nahin dhup ke afsane mein
kya hua kis liye gham koi bhi matam karne
aaj aaya hi nahin dil ke aza-KHane mein
kho diya hosh hi jis jis ne lagaya munh se
kya bala ka hai nasha ishq ke paimane mein
yaad 'ashhar' na dila mujh ko wo guzri baaten
der lagti hai kahan choT ubhar aane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.