jo kaha tha tumhein suna bhi tha
jo kahā thā tumheñ sunā bhī thā
āzmānā nahīñ kahā bhī thā
merā milnā nahīñ huā lekin
maiñ to apnī taraf gayā bhī thā
ishq hotā hai māntā huuñ maiñ
mujh ko ik baar ye huā bhī thā
ye sazā jo bhugat rahe ho tum
kyā haqīqat meñ kuchh kiyā bhī thā
mere marne kā kyā huā matlab
us kā matlab ki maiñ jiyā bhī thā
tum to zinda ho ab talak pyāre
zahr ko Thiik se piyā bhī thā
jo kaha tha tumhein suna bhi tha
aazmana nahin kaha bhi tha
mera milna nahin hua lekin
main to apni taraf gaya bhi tha
ishq hota hai manta hun main
mujh ko ek bar ye hua bhi tha
ye saza jo bhugat rahe ho tum
kya haqiqat mein kuchh kiya bhi tha
mere marne ka kya hua matlab
us ka matlab ki main jiya bhi tha
tum to zinda ho ab talak pyare
zahr ko Thik se piya bhi tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.