jo kal na tha wo aaj hai ai ham-shabih-e-man
jo kal na thā vo aaj hai ai ham-shabīh-e-man
ab is kā kyā ilaaj hai ai ham-shabīh-e-man
āñkhoñ meñ ashk lab pe hañsī tis pe be-hisī
ye kaisā imtizāj hai ai ham-shabīh-e-man
hañs ke milo har ek se jis haal meñ milo
is shahr kā rivāj hai ai ham-shabīh-e-man
dekhā hai koī ḳhvāb azīzān-e-shahr ne
kai saal kā anaaj hai ai ham-shabīh-e-man
sab log mutma.in haiñ koī be-kalī nahīñ
ye kaun sā samāj hai ai ham-shabīh-e-man
maiñ ne kahā na thā ki yahāñ qadr-e-dil nahīñ
kyuuñ is pe bad-mizāj hai ai ham-shabīh-e-man
jo kal na tha wo aaj hai ai ham-shabih-e-man
ab is ka kya ilaj hai ai ham-shabih-e-man
aankhon mein ashk lab pe hansi tis pe be-hisi
ye kaisa imtizaj hai ai ham-shabih-e-man
hans ke milo har ek se jis haal mein milo
is shahr ka riwaj hai ai ham-shabih-e-man
dekha hai koi KHwab azizan-e-shahr ne
kai sal ka anaj hai ai ham-shabih-e-man
sab log mutmain hain koi be-kali nahin
ye kaun sa samaj hai ai ham-shabih-e-man
main ne kaha na tha ki yahan qadr-e-dil nahin
kyun is pe bad-mizaj hai ai ham-shabih-e-man
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.