Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo kal talak thi mohabbaton mein hamari shiddat nahin dikhegi

Sundus Shaikh

jo kal talak thi mohabbaton mein hamari shiddat nahin dikhegi

Sundus Shaikh

MORE BYSundus Shaikh

    jo kal talak thī mohabbatoñ meñ hamārī shiddat nahīñ dikhegī

    tumheñ dobāra qarīb laane dil meñ hasrat nahīñ dikhegī

    hameñ ye lagtā hai baad marne ke saath vahshat bhī dafn hogī

    hamārā da.avā hai aisī nādir kahīñ bhī turbat nahīñ dikhegī

    bhale āñkhoñ saarī nīñdeñ chaḌhā deñ vahshat bheñT lekin

    hamāre ḳhvāboñ kirchiyoñ meñ tumhārī sūrat nahīñ dikhegī

    tumhāre gaañv se vaqt-e-hijrat hameñ to bas ek qalaq thā

    hamārī āñkhoñ rizq jo thī hasīn sūrat nahīñ dikhegī

    vo laakh chāheñ ki zikr-e-'sundus' pe baat yaksar badal jaa.e

    to kyā kisī ko bhī un ke chehre uḌtī rañgat nahīñ dikhegī

    jo kal talak thi mohabbaton mein hamari shiddat nahin dikhegi

    tumhein dobara qarib lane ki dil mein hasrat nahin dikhegi

    hamein ye lagta hai baad marne ke sath wahshat bhi dafn hogi

    hamara dawa hai aisi nadir kahin bhi turbat nahin dikhegi

    bhale hi aankhon ki sari ninden chaDha den wahshat ki bhenT lekin

    hamare KHwabon ki kirchiyon mein tumhaari surat nahin dikhegi

    tumhaare ganw se waqt-e-hijrat hamein to bas ek hi qalaq tha

    hamari aankhon ka rizq jo thi hasin surat nahin dikhegi

    wo lakh chahen ki zikr-e-'sundus' pe baat yaksar badal di jae

    to kya kisi ko bhi un ke chehre ki uDti rangat nahin dikhegi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now