jo kar ke rafu pairahan nachte hain
jo kar ke rafū pairahan nāchte haiñ
chhupāne ko dard-e-kuhan nāchte haiñ
zarā bhī nahīñ fikr sūd-o-ziyāñ kī
sar-e-dār kyā bāñkpan nāchte haiñ
huā tazkira jo tire gesuoñ kā
mire saath ahl-e-suḳhan nāchte haiñ
matā-e-safar lauT kar qāfiloñ kī
bhare dasht meñ rāhzan nāchte haiñ
tire narm hoñToñ kī hiddat meñ 'shāfī'
shagufta shagufta saman nāchte haiñ
jo kar ke rafu pairahan nachte hain
chhupane ko dard-e-kuhan nachte hain
zara bhi nahin fikr sud-o-ziyan ki
sar-e-dar kya bankpan nachte hain
hua tazkira jo tere gesuon ka
mere sath ahl-e-suKHan nachte hain
mata-e-safar lauT kar qafilon ki
bhare dasht mein rahzan nachte hain
tere narm honTon ki hiddat mein 'shafi'
shagufta shagufta saman nachte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.