jo Khaali tha hamare dil ka kona bhar gaya hai
jo Khaali tha hamare dil ka kona bhar gaya hai
Sufiya Deepika Kausar
MORE BYSufiya Deepika Kausar
jo ḳhālī thā hamāre dil kā konā bhar gayā hai
nazar kā tiir ya.anī ghaav gahrā kar gayā hai
kisī lab ke tabassum kī adā honī hai qīmat
ik aañsū nok-e-mizhgāñ par jo aakar mar gayā hai
tirī jānib se patthar ab bhī mujh tak aa rahe haiñ
ināyat rok de kaasa labālab bhar gayā hai
tamannāo tumheñ bhī lauT jaanā chāhiye thā
junūñ bhī chhoḌ kar sahrā-navardī ghar gayā hai
musāfir ishq kā hasrat ke dariyā meñ gayā kyoñ
use hargiz vahāñ jaanā nahīñ thā par gayā hai
vahī dil par hukūmat kar rahā hai mere 'kausar'
jo is kā mustahiq thā taaj us ke sar gayā hai
jo KHali tha hamare dil ka kona bhar gaya hai
nazar ka tir yani ghaw gahra kar gaya hai
kisi lab ke tabassum ki ada honi hai qimat
ek aansu nok-e-mizhgan par jo aakar mar gaya hai
teri jaanib se patthar ab bhi mujh tak aa rahe hain
inayat rok de kasa labaalab bhar gaya hai
tamannao tumhein bhi lauT jaana chahiye tha
junun bhi chhoD kar sahra-nawardi ghar gaya hai
musafir ishq ka hasrat ke dariya mein gaya kyon
use hargiz wahan jaana nahin tha par gaya hai
wahi dil par hukumat kar raha hai mere 'kausar'
jo is ka mustahiq tha taj us ke sar gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.